Shri Sai Baba Chalisa Lyrics in English |
|
|
|
Shri Sai Baba Chalisa Lyrics in English |
|
Pehle Sai ke charan main, apna sheesh namaaun main, |
Kaise Shirdi Sai aaye, saara haal sunaun main. |
|
Kaun hai mata, pita kaun hai, yeh na kisi ne bhi jaana, |
Kaha janam Sai ne dhara, prashan paheli raha bana. |
|
Koyee kahe Ayodhya ke, yeh Ramchandra bhagvan hain, |
Koyee kehta SaiBaba, pavan putra Hanuman hain. |
|
Koyee kehta mangal murti, Shri Gajanan hain Sai, |
Koyee kehta Gokul-Mohan Devki Nandan hain Sai. |
|
Shanker samaj bhakta kayee to, Baba ko bhajhte rahte, |
Koyee kahe avatar datta ka, pooja Sai ki karte. |
|
Kuchha bhi maano unko tum, pur Sai hain sachche bhagvan, |
Bade dayalu deen-bandhu, kitno ko diya jivan-daan. |
|
Kayee baras pehle ki ghatna, tumhe sunaunga main baat, |
Kisee bhagyashaali ki , Shirdi main aayee thi baraat. |
|
Aaya saath usi ke tha, baalak aik bahut sunder, |
Aaya aaker vahin bus gaya, paavan Shirdi kiya nagar. |
|
Kayee dino tak raha bhatakta, bhiksha maangi usne dar dar, |
|
Aur dikhaee aisee leela, jag main jo ho gayee amar. |
|
|
Jaise-jaise umar badi, badti hee vaisy, gaee shaan, |
Ghar ghar hone laga nagar main, Sai Baba kaa gungaan. |
|
Dig digant main laga goonjane, phir to Saiji ka naam, |
Deen-dhukhi ki raksha karna, yahi raha Baba ka kaam. |
|
Baba ke charno main ja kar, jo kehta main hoo nirdhan, |
Daya usee par hoti unkee, khul jaate dhukh ke bandhan. |
|
Kabhi kisee ne maangi bhiksha, do Baba mujhko suntaan, |
Avum astoo tava kaihkar Sai dete the usko vardaan. |
|
Swayam dhukhi Baba ho jaate, deen-dukhijan ka lakh haal, |
Anteh: karan shree Sai ka, sagar jaisa raha vishal. |
|
Bhakta ek madrasi aaya, ghar ka bahut bada dhanvaan, |
Maal khajana behadh uskaa, keval nahi rahi suntaan. |
|
Laga manane Sainath ko, Baba mujh per daya karo, |
Junjha se junkrit naiya ko, tum hee mairee par karo. |
|
Kuldeepak ke bina andhera, chchaya hua ghar mein mere, |
Isee liye aaya hoon Baba, hokar sharnagat tere. |
|
Kuldeepak ke re abhav main, vyartha hai daulat ki maya, |
Aaj bhikhari ban kar Baba, sharan tumhari main aaya, |
|
|
De do mujhko putra-daan, main runi rahoonga jivan bhar, |
Aur kisi ki aas na mujko, siraf bharosa hai tum par. |
|
Anunaye-vinaye bahut ki usne, charano main dhar ke sheesh, |
Tub prasana hokar Baba ne, diya bhakta ko yeh aashish. |
|
Allah bhala karega tera,' putra janam ho tere ghar, |
Kripa rahegi tum per uski, aur tere uss balak per. |
|
Ab tak nahi kisi ne payaa, Sai ki kripa ka paar, |
Putra ratna de madrasi ko, dhanya kiya uska sansaar. |
|
Tan-man se jo bhaje usi ka jug main hota hai uddhar, |
Sanch ko aanch nahi haiy Koyee, sada jooth ki hoti haar. |
|
Main hoon sada sahare uske, sada rahoonga uska daas, |
Sai jaisa prabhu mila hai, itni ki kum haiy kya aash. |
|
Mera bhi din tha ek aisa, miltee nahi mujhe thi roti, |
Tan par kapda duur raha tha, sheish rahi nanhi si langoti, |
|
Sarita sammukh hone par bhi main pyasa ka pyasa tha, |
Durdin mera mere ooper, davagani barsata tha. |
|
Dharti ke atirikt jagat main, mera kuch avalumbh na tha, |
Bana bhikhari main duniya main, dar dar thokar khata tha. |
|
Aise main ik mitra mila jo, param bhakt Sai ka tha, |
|
Janjalon se mukta, magar iss, jagti main veh bhi mujh sa tha. |
|
Baba ke darshan ke khatir, mil dono ne kiya vichaar, |
Sai jaise daya murti ke darshan ko ho gaiye taiyar. |
|
Paavan Shirdi nagari main ja kar, dhekhi matvaali murti, |
Dhanya janam ho gaya ki humne jab dhekhi Sai ki surti. |
|
Jabse kiye hai darshan humne, dukh sara kaphur ho gaya, |
Sankat saare mite aur vipdaon ka ant ho gaya. |
|
Maan aur sammaan mila, bhiksha main humko Baba se, |
Prati bambit ho uthe jagat main, hum Sai ki abha se. |
|
Baba ne sammaan diya haiy, maan diya is jivan main, |
Iska hee sambal le main, hasta jaunga jivan main. |
|
Sai ki leela ka mere, man par aisa assar huaa, |
Lagta, jagti ke kan-kan main, jaise ho veh bhara huaa. |
|
Kashiram' Baba ka bhakt, iss Shirdi main rehta tha, |
Maiy Sai ka Sai mera, veh duniya se kehta tha. |
|
Seekar svayam vastra bechta, gram nagar bazaro main, |
Jhankrit uski hridh-tantri thi, Sai ki jhankaron se. |
|
|
Stabdh nisha thi, thay soye, rajni aanchal me chand sitare, |
Nahi soojhta raha hath ka, hath timiri ke maare. |
|
Vastra bech kar lote raha tha, hai! Haath se 'kaashi', |
Vichitra bada sanyoga ki uss din aata tha veh akaki. |
|
Gher raah main khade ho gaye, usse kutil, anyaayi, |
Maaro kaato looto iski, hee dhvani pari sunayee. |
|
Loot peet kar usse vahan se, kutil gaye champat ho, |
Aaghaton se marmahat ho, usne di thi sangya kho. |
|
Bahut der tak pada raha vaha, vahin usi halat main, |
Jaane kab kuch hosh ho utha, usko kisi palak main. |
|
Anjane hee uske muh se, nikal para tha Sai, |
Jiski prati dhvani Shirdi main, Baba ko padi sunai. |
|
Shubdh utha ho manas unka, Baba gaye vikal ho, |
Lagta jaise ghatna sari, ghati unhi ke sanmukh ho. |
|
Unmadi se idhar udhar tab, Baba lage bhatakne, |
Sanmukh chizein jo bhi aiee, unkoo lage patkne. |
|
Aur dhadhakte angaro main, Baba ne kar dala, |
Huye sashankit sabhi vahan, lakh tandav nritya nirala. |
|
Samajh gaye sab log ki koi, bhakt para sankat ain, |
Shubit khade thai sabhi vahan par, pade huae vismaiye main. |
|
Usse bachane ke hi khatir, Baba aaj vikal hai, |
Uski hi piraa se pirit, unka ant sthal hai. |
|
Itne me hi vidhi ne apni, vichitrata dhikhlayi, |
Lakh kar jisko janta ki, shradha sarita lehrayee. |
|
Lekar sanghya heen bhakt ko, gaadi ek vahan aayee, |
Sanmukh apne dekh bhakt ko, Sai ki aankhe bhar aayee. |
|
Shant, dheer, gambhir sindhu sa, Baba ka anthsthal, |
Aaj na jane kyon reh-rehkar, ho jaata tha chanchal. |
|
Aaj daya ki murti svayum tha bana hua upchaari, |
Aur bhakt ke liye aaj tha, dev bana prati haari. |
|
Aaj bhakti ki visham pariksha main, safal hua tha Kaashi, |
Uske hee darshan ki khatir, thai umre nagar-nivasi. |
|
Jab bhi aur jahan bhi koyee, bhakta pade sankat main, |
Uski raksha karne Baba jate hai palbhar main. |
|
Yuga yuga ka hai satya yeh, nahi koi nayee kahani, |
Aapat grasta bhakt jab hota, jate khudh antar yami. |
|
Bhedh bhaav se pare pujari manavta ke the Sai, |
Jitne pyare Hindu-Muslim uutne hi Sikh isai. |
|
Bhed bhaav mandir masjid ka tod phod Baba ne dala, |
Ram rahim sabhi unke the, Krishan Karim Allah Tala. |
|
Ghante ki pratidhvani se gunja, masjid ka kona kona, |
Mile paraspar Hindu Muslim, pyar bada din din doona. |
|
Chamatkar tha kitna sundar, parichaye iss kaya ne dee, |
Aur neem karvahat main bhi mithaas Baba ne bhar dee. |
|
Sabko sneha diya Sai ne, sabko suntul pyar kiya, |
Jo kuch jisne bhi chaha, Baba ne usko vahi diya. |
|
Aise sneha sheel bhajan ka, naam sada jo japa kare, |
Parvat jaisa dhukh na kyoon ho, palbhar main veh door tare. |
|
Sai jaisa daata humne, aare nahi dekha koi, |
Jiske keval darshan se hee, saari vipda door gayee. |
|
Tan main Sai, man main Sai, Sai Sai bhajha karo, |
Apne tan ki sudh budh khokur, sudh uski tum kiya karo. |
|
Jab tu apni sudh tajkur, Baba ki sudh kiya karega, |
Aur raat din Baba, Baba, hi tu rata karega. |
|
To Baba ko aare! vivash ho, sudhi teri leni hee hogi, |
Teri har icha Baba ko, puree hee karni hogi. |
|
Jungal jungal bhatak na pagal, aur dhundne Baba ko, |
Ek jagah keval Shirdi main, tu paiga Baba ko. |
|
Dhanya jagat main prani hai veh, jisne Baba ko paya, |
Dukh main sukh main prahar aath ho, Sai ka hee gune gaya. |
|
Giren sankat ke parvat, chahe bijli hi toot pare, |
Sai ka le naam sada tum, sanmukh sub ke raho ade. |
|
Iss budhe ki sunn karamat, tum ho javo ge hairaan, |
Dung raha sunkar jisko, jane kitne chatur sujaan. |
|
Ek baar Shirdi main sadhu dhongi tha koi aaya, |
Bholi bhali nagar nivasi janta ko tha bharmaya. |
|
Jari, butiyan unhe dhikha kar, karne laga vaha bhashan, |
Kehne laga sunno shrotagan, ghar mera hai vrindavan. |
|
Aushadhi mere paas ek hai, aur ajab iss main shakti, |
Iske sevan karne se hi, ho jaati dukh se mukti. |
|
Aggar mukta hona chaho tum, sankat se bimari se, |
To hai mera numra nivedan, har nar se har nari se. |
|
Lo kharid tum isko, sevan vidhiyan hai nyari, |
Yadyapi tuch vastu hai yeh, gun uske hai atisheh bhari. |
|
Jo hai suntaan heen yahen yadi, meri aushdhi ko khayen, |
Putra ratan ho parapat, aare aur veh mooh manga phal paye. |
|
Aushadh meri jo na kharide, jeevan bhar pachtayega, |
Mujh jaisa prani shayad hi, aare yaha aa payega. |
|
Duniya do din ka mela hai, mauj shaunk tum bhi kar lo, |
Gar is se milta hai, sub kuch, tum bhi isko le lo. |
|
Hairani badti janta ki, lakh iski kaarastaani, |
Pramudit veh bhi man hi man tha, lakh logo ki nadani. |
|
Khabar suna ne Baba ko yeh, gaya daud kar sevak ek, |
Sun kar bhukuti tani aur, vismaran ho gaya sabhi vivek. |
|
Hukum diya sevak ko, satvar pakad dusht ko lavo, |
Ya Shirdi ki seema se, kapti ko duur bhagavo. |
|
Mere rehte bholi bhali, Shirdi ki janta ko, |
Kaun neech aisa jo, sahas karta hai chalne ko. |
|
Palbhar mai hi aise dhongi, kapti neech lootere ko, |
Maha naash ke maha gart main, phahuncha doon jivan bhar ko. |
|
Tanik mila aabhaas madari, krur kutil anyayi ko, |
Kaal nachta hai ab sir par, gussa aaya Sai ko. |
|
Pal bhar main sab khel bandh kar, bhaga sir par rakh kar pairr, |
Socha tha man hi man, bhagvan nahi hai ab khair. |
|
Such hai Sai jaisa daani, mil na sakega jag main, |
Ansh iish ka Sai Baba, unhe na kuch bhi mushkil jag main. |
|
Sneh, sheel, sojanya, aadi ka abhushan dharan kar, |
Badta iss duniya main jo bhi, manav sevaye path par. |
|
Vahi jeet leta hai jagti, ke jan jan ka anthsthal, |
Uski ek udasi hi jag, jana ko kar deti hai vivhal. |
|
Jab jab jag main bhar paap ka bar bar ho jaata hai, |
Usse mita ne ke hi khatir, avtari ho aata hai. |
|
Paap aur anyaya sabhi kuch, iss jagti ka har ke, |
Duur bhaga deta duniya ke danav ko shan bhar main. |
|
Sneh sudha ki dhar barasne, lagti hai duniya main, |
Gale paraspar milne lagte, jan jan hai aapas main. |
|
Aisse hee avtari Sai, mrityulok main aakar, |
Samta ka yeh paath padhaya, sabko apna aap mitakar. |
|
Naam dwarka masjid ka , rakha Shirdi main Sai ne, |
Daap taap, suntaap mitaya, jo kuch aaya Sai ne. |
|
Sada yaad main mast ram ki, baithe rehte the Sai, |
Peher aath hee raam naam ka, bhaite rehte the Sai. |
|
Sookhee rookhee tazi baasi, chahe ya hovai pakvaan, |
Sada pyar ke bhooke Sai ke, khatir the sabhi samaan. |
|
Sneh aur shradha se apni, jan jo kuch de jaate the, |
Bade chaav se uss bhojan ko, Baba paavan karte the. |
|
Kabhi kabhi man behlane ko, Baba baag main jate the, |
Pramudit man main nirukh prakrati, chatta ko veh hote the. |
|
Rang-birange pushpa baag ke mand mand hil dul karke, |
Bihau birane mana main bhi sneh salil bhar jate the. |
|
Aise su-madhur bela main bhi, dukh aafat vipada kai maare, |
Apne man ki vyatha sunane, jan rehte Baba ko ghere. |
|
Sunkar jinki karun katha ko, nayan kamal bhar aate the, |
De vibhuti har vyatha, shanti, unke uur main bhar dete the. |
|
Jaane kya adhbut, shakti, uss vibhuti main hoti thi, |
Jo dharan karke mastak par, dukh saara har leti thi. |
|
Dhanya manuja veh sakshaat darshan, jo Baba Sai ke paye, |
Dhanya kamal kar unke jinse, charan kamal veh parSai. |
|
Kaash nirbhaiy tumko bhi, saakshat Sai mil jaata, |
Barshon se ujra chaman apna, phir se aaj khil-jata. |
|
Gar pakar main charan shri ke, nahi chorta umar bhar, |
Mana leta main jaroor unko gar rooth te Sai mujh par!! |
Comments
Post a Comment